bas har ek raat yahi jurm kiya hai maine
bas har ik raat yahī jurm kiyā hai maiñ ne
lā ke ḳhvāboñ meñ tujhe dekh liyā hai maiñ ne
har baras ziist kā lamha sā lagā hai lekin
ba.az lamhoñ meñ to sadiyoñ ko jiyā hai maiñ ne
chhūTe jaate haiñ sabhī ahl-e-ḳharābāt-e-junūñ
kyā 'ajab 'aql se saudā ye kiyā hai maiñ ne
sāġhar-e-marg ko suqrāt ne pī kar ye kahā
zindagī tere liye zahr piyā hai maiñ ne
apne har ḳhvāb kī tā'bīr ko paane ke liye
ik samundar thā jise paar kiyā hai maiñ ne
tum nahīñ jānte maqtal se Darāne vaalo
jaañ kā nazrāna ka.ī baar diyā hai maiñ ne
kaise mumkin hai ki maiñ tujh se tirī baat karūñ
tere kahne pe to hoñToñ ko siyā hai maiñ ne
mai-kashī meñ bhī ka.ī daur guzāre 'ādil'
kabhī chullū kabhī sāġhar se piyā hai maiñ ne
bas har ek raat yahi jurm kiya hai main ne
la ke KHwabon mein tujhe dekh liya hai main ne
har baras zist ka lamha sa laga hai lekin
baz lamhon mein to sadiyon ko jiya hai main ne
chhuTe jate hain sabhi ahl-e-KHarabaat-e-junun
kya 'ajab 'aql se sauda ye kiya hai main ne
saghar-e-marg ko suqraat ne pi kar ye kaha
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
apne har KHwab ki ta'bir ko pane ke liye
ek samundar tha jise par kiya hai main ne
tum nahin jaante maqtal se Darane walo
jaan ka nazrana kai bar diya hai main ne
kaise mumkin hai ki main tujh se teri baat karun
tere kahne pe to honTon ko siya hai main ne
mai-kashi mein bhi kai daur guzare 'adil'
kabhi chullu kabhi saghar se piya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.