bas ho bhi chukin hasrat-e-parwaz ki baaten
bas ho bhī chukīñ hasrat-e-parvāz kī bāteñ
phir chheḌ kisī anjuman-e-nāz kī bāteñ
uryānī-e-ehsās hai kuchh husn na kuchh ishq
ye raaz kī bāteñ haiñ na vo raaz kī bāteñ
saada sā mazedār sā ik shaḳhs ho jaise
sunte haiñ vo kis lutf se ġhammāz kī bāteñ
kuchh zauq bhī ibrat kā tabī.at meñ hai baaqī
kuchh zauq kī hāmil bhī haiñ tannāz kī bāteñ
mutrib jo hunar-mand ho dam-sāz ho phir dekh
har saaz meñ mastūr haiñ har saaz kī bāteñ
pāmāl ye jaane ki sar-afrāz hai vo bhī
pāmāl se yuuñ kiije sar-afrāz kī bāteñ
bas ho bhi chukin hasrat-e-parwaz ki baaten
phir chheD kisi anjuman-e-naz ki baaten
uryani-e-ehsas hai kuchh husn na kuchh ishq
ye raaz ki baaten hain na wo raaz ki baaten
sada sa mazedar sa ek shaKHs ho jaise
sunte hain wo kis lutf se ghammaz ki baaten
kuchh zauq bhi ibrat ka tabiat mein hai baqi
kuchh zauq ki hamil bhi hain tannaz ki baaten
mutrib jo hunar-mand ho dam-saz ho phir dekh
har saz mein mastur hain har saz ki baaten
pamal ye jaane ki sar-afraaz hai wo bhi
pamal se yun kije sar-afraaz ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.