bas ek putla tha miTTi se bana main
bas ik putlā thā miTTī se banā maiñ
karam terā ki kyā se kyā huā maiñ
tirī pahchān jis din se huī hai
huuñ apne aap ko bhūlā huā maiñ
akelā hai agar koī to tū hai
jo tanhā huuñ to huuñ tere sivā maiñ
jo kuchh hotā to shāyad kuchh na hotā
na ho ke kuchh bahut kuchh ho gayā maiñ
hai merī zaat kā 'irfān mushkil
kahīñ patthar kahīñ huuñ devtā maiñ
tumhārā rang jis din se chaḌhā hai
nazar aane lagā sab se judā maiñ
fanā honī hai jab har shai yahāñ kī
to phir kyā chiiz hai tū aur kyā maiñ
ThiThurtī shaam meñ jaltā huā vo
sulagtī raat meñ bujhtā huā maiñ
na.ī rut meñ na.ī thī chaah ham ko
zarā vo bevafā thā aur zarā maiñ
agar is shahr meñ shā'ir hai koī
to pahlā 'nūr' hai aur dūsrā maiñ
bas ek putla tha miTTi se bana main
karam tera ki kya se kya hua main
teri pahchan jis din se hui hai
hun apne aap ko bhula hua main
akela hai agar koi to tu hai
jo tanha hun to hun tere siwa main
jo kuchh hota to shayad kuchh na hota
na ho ke kuchh bahut kuchh ho gaya main
hai meri zat ka 'irfan mushkil
kahin patthar kahin hun dewta main
tumhaara rang jis din se chaDha hai
nazar aane laga sab se juda main
fana honi hai jab har shai yahan ki
to phir kya chiz hai tu aur kya main
ThiThurti sham mein jalta hua wo
sulagti raat mein bujhta hua main
nai rut mein nai thi chah hum ko
zara wo bewafa tha aur zara main
agar is shahr mein sha'ir hai koi
to pahla 'nur' hai aur dusra main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.