bas ek titli uDana chahta hun
bas ik titlī uḌānā chāhtā huuñ
fazāoñ meñ Thikānā chāhtā huuñ
tirī āñkhoñ meñ aañsū haiñ to hoñge
tujhe maiñ kyā hañsānā chāhtā huuñ
agar bāzār hai duniyā to is se
maiñ rishta tājirāna chāhtā huuñ
maiñ apnī aañkh kī ḳhālī jagah meñ
na.ī bastī basānā chāhtā huuñ
ye kaisī raushnī kī aarzū hai
maiñ kis kā ghar jalānā chāhtā huuñ
safar kā silsila yūñhī nahīñ hai
koī behtar Thikānā chāhtā huuñ
jale hī jā rahā hai kab se 'ādil'
charāġh-e-dil bujhānā chāhtā huuñ
bas ek titli uDana chahta hun
fazaon mein Thikana chahta hun
teri aankhon mein aansu hain to honge
tujhe main kya hansana chahta hun
agar bazar hai duniya to is se
main rishta tajirana chahta hun
main apni aankh ki KHali jagah mein
nai basti basana chahta hun
ye kaisi raushni ki aarzu hai
main kis ka ghar jalana chahta hun
safar ka silsila yunhi nahin hai
koi behtar Thikana chahta hun
jale hi ja raha hai kab se 'adil'
charagh-e-dil bujhana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.