bas is liye tumhein bheja tha likh ke han kaghaz
bas is liye tumhein bheja tha likh ke han kaghaz
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
bas is liye tumheñ bhejā thā likh ke haañ kāġhaz
ki merā haal kare tum se kuchh bayāñ kāġhaz
ḳhudā ke vāste kis tarah pahuñche vaañ kāġhaz
na le ke jā sake jis jā farishta ḳhaañ kāġhaz
abhī likhā bhī na thā hāl-e-sīna-e-pur-dāġh
ki ban gayā yūñhī sad shak-e-gulistāñ kāġhaz
maiñ hāl-e-soz-e-dil apnā likhūñ to kaise likhūñ
hazar hai ḳhāma ko māñge hai al-amāñ kāġhaz
ab is ko kyā karūñ vahāñ tak pahuñch nahīñ saktā
jo ek hai mirā kambaḳht rāzdāñ kāġhaz
samajh ke ḳhat mirā ġhairoñ kā bhī nahīñ letā
ye bad-gumānī hai vo shoḳh bad-gumāñ kāġhaz
jo pahuñche haath tak us māh-rū ke qismat se
to paidā kartā hai ḳhāsiyat-e-katāñ kāġhaz
ḳhudā ke vāste chhup-chhup ke ham se farmāo
ye roz bhejo ho likh likh ke kis ke haañ kāġhaz
likhā jo maiñ ne ki ḳhat ke javāb meñ tum ne
likhā na bhuul ke ham ko kabhī 'ayāñ kāġhaz
to phir ke aap ne qāsid se ye kahā ki yahāñ
kahāñ davāt kahāñ ḳhāma aur kahāñ kāġhaz
na pahuñche 'aish' use ham ne bārhā likhe
hazār-haif ga.e yūñhī rā.egāñ kāġhaz
bas is liye tumhein bheja tha likh ke han kaghaz
ki mera haal kare tum se kuchh bayan kaghaz
KHuda ke waste kis tarah pahunche wan kaghaz
na le ke ja sake jis ja farishta KHan kaghaz
abhi likha bhi na tha haal-e-sina-e-pur-dagh
ki ban gaya yunhi sad shak-e-gulistan kaghaz
main haal-e-soz-e-dil apna likhun to kaise likhun
hazar hai KHama ko mange hai al-aman kaghaz
ab is ko kya karun wahan tak pahunch nahin sakta
jo ek hai mera kambaKHt raazdan kaghaz
samajh ke KHat mera ghairon ka bhi nahin leta
ye bad-gumani hai wo shoKH bad-guman kaghaz
jo pahunche hath tak us mah-ru ke qismat se
to paida karta hai KHasiyat-e-katan kaghaz
KHuda ke waste chhup-chhup ke hum se farmao
ye roz bhejo ho likh likh ke kis ke han kaghaz
likha jo main ne ki KHat ke jawab mein tum ne
likha na bhul ke hum ko kabhi 'ayan kaghaz
to phir ke aap ne qasid se ye kaha ki yahan
kahan dawat kahan KHama aur kahan kaghaz
na pahunche 'aish' use hum ne barha likhe
hazar-haif gae yunhi raegan kaghaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.