Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas isi baat pe wo shaKHs KHafa hai mujhse

Syeda Shan-e-Meraj

bas isi baat pe wo shaKHs KHafa hai mujhse

Syeda Shan-e-Meraj

MORE BYSyeda Shan-e-Meraj

    bas isī baat pe vo shaḳhs ḳhafā hai mujh se

    shahr meñ tazkira-e-rasm-e-vafā hai mujh se

    aksar aksar vahī nārāz huā hai mujh se

    jis ko be-vaj.h satā.ish gila hai mujh se

    ek lamhe ko Thaharne sazā maut bhī hai

    tez-rau vaqt ne aksar ye kahā hai mujh se

    maiñ to huuñ qaid idhar apnī anā ke but meñ

    vo vafāoñ sila maañg rahā hai mujh se

    maiñ ki ḳhud raah meñ bhuul aa.ī huuñ asbāb-e-safar

    koī manzil patā pūchh rahā hai mujh se

    koī bhī qaid-e-musalsal mirī qismat meñ na thī

    mere sayyād dil TuuT gayā hai mujh se

    kaash be-rabt ḳhayāloñ ko bhī de pā.ūñ zabāñ

    rishta-e-lafz kahīñ TuuT gayā hai mujh se

    'shān' irfān-e-nazar jab se huā hai hāsil

    ab koī paas hai mere na judā hai mujh se

    bas isi baat pe wo shaKHs KHafa hai mujh se

    shahr mein tazkira-e-rasm-e-wafa hai mujh se

    aksar aksar wahi naraaz hua hai mujh se

    jis ko be-wajh sataish ka gila hai mujh se

    ek lamhe ko Thaharne ki saza maut bhi hai

    tez-rau waqt ne aksar ye kaha hai mujh se

    main to hun qaid idhar apni ana ke but mein

    wo wafaon ka sila mang raha hai mujh se

    main ki KHud rah mein bhul aai hun asbab-e-safar

    koi manzil ka pata puchh raha hai mujh se

    koi bhi qaid-e-musalsal meri qismat mein na thi

    mere sayyaad ka dil TuT gaya hai mujh se

    kash be-rabt KHayalon ko bhi de paun zaban

    rishta-e-lafz kahin TuT gaya hai mujh se

    'shan' irfan-e-nazar jab se hua hai hasil

    ab koi pas hai mere na juda hai mujh se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now