bas KHak-e-qadam dijiye takrar bahut ki
bas KHak-e-qadam dijiye takrar bahut ki
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
bas ḳhāk-e-qadam dījiye takrār bahut kī
miTTī mirī is ḳhaak ne hī ḳhvār bahut kī
chaiḌ mujh ko tujhe riijh ke takrār bahut kī
ḳhush rah ki ḳhushāmad tirī ai yaar bahut kī
hargiz na ga.ī pesh na aayā mah-e-be-mehr
har chand ki zaarī pas-e-dīvār bahut kī
laa.ī kashish-e-dil hī tumheñ tum ne to varna
yahāñ aane meñ ik umr talak aar bahut kī
us chashm ne dekhā dil-e-bīmār ko mere
bīmār ne kal ḳhātir-e-bīmār bahut kī
abrū kī tasavvur meñ huā qatl mirā dil
phal kyuuñ na mile mard thā talvār bahut kī
ushshāq meñ maiñ hī hadaf-e-tīr huuñ us kā
azmat hī yahī ḳhidmat-e-sarkār bahut kī
is tarah kā be-dīd to ġham hogā jahāñ meñ
kī ham ne bhī hai diid trahdār bahut kī
sūrat tirī aage hī bhabūkā thī va-lekin
zulfoñ ke bikharne ne dhuāñdhār bahut kī
yahāñ aaTh pahar jins se vafā ham ne dikhā.ī
dekhā na ḳharīdār to nā-chār bahut kī
yārab na rahe naam judā.ī ki rah-e-ishq
āsān thī par us ne hī dushvār bahut kī
ma.alūm koī din ko tujhe hogī haqīqat
kam us tire iqrār kī inkār bahut kī
har chand ki ḳhat se bhī dhuāñ-shakl hai ai mah
par ḳhat kī na rakhne ne numūdār bahut kī
ghar meñ na tire kuud sakā rāt-ga.e maiñ
haañ apnī sī tadbīr to ai yaar bahut kī
bahbūd ke āsār na dekhe kabhū hargiz
jis shaḳhs ne ūñchī tirī dīvār bahut kī
kam ham sā ḳharīdār baham pahuñchegā us ko
kyuuñ ishq ne jins-e-ġham-e-bisyār bahut kī
bolā sar-e-mansūr sar-e-dār pe 'ehsā۔n'
haq hai ki sazā-vār the pindār bahut kī
bas KHak-e-qadam dijiye takrar bahut ki
miTTi meri is KHak ne hi KHwar bahut ki
chaiD mujh ko tujhe rijh ke takrar bahut ki
KHush rah ki KHushamad teri ai yar bahut ki
hargiz na gai pesh na aaya mah-e-be-mehr
har chand ki zari pas-e-diwar bahut ki
lai kashish-e-dil hi tumhein tum ne to warna
yahan aane mein ek umr talak aar bahut ki
us chashm ne dekha dil-e-bimar ko mere
bimar ne kal KHatir-e-bimar bahut ki
abru ki tasawwur mein hua qatl mera dil
phal kyun na mile mard tha talwar bahut ki
ushshaq mein main hi hadaf-e-tir hun us ka
azmat hi yahi KHidmat-e-sarkar bahut ki
is tarah ka be-did to gham hoga jahan mein
ki hum ne bhi hai did trahdar bahut ki
surat teri aage hi bhabuka thi wa-lekin
zulfon ke bikharne ne dhuandhaar bahut ki
yahan aaTh pahar jins se wafa hum ne dikhai
dekha na KHaridar to na-chaar bahut ki
yarab na rahe nam judai ki rah-e-ishq
aasan thi par us ne hi dushwar bahut ki
malum koi din ko tujhe hogi haqiqat
kam us tere iqrar ki inkar bahut ki
har chand ki KHat se bhi dhuan-shakl hai ai mah
par KHat ki na rakhne ne numudar bahut ki
ghar mein na tere kud saka raat-gae main
han apni si tadbir to ai yar bahut ki
bahbud ke aasar na dekhe kabhu hargiz
jis shaKHs ne unchi teri diwar bahut ki
kam hum sa KHaridar baham pahunchega us ko
kyun ishq ne jins-e-gham-e-bisyar bahut ki
bola sar-e-mansur sar-e-dar pe 'ehsa۔n'
haq hai ki saza-war the pindar bahut ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.