bas ki mujhse wo sanam in dinon KHafa sa hai
bas ki mujh se vo sanam in dinoñ ḳhafā sā hai
aañkh merī nam sī hai dil mirā bujhā sā hai
ḳhvāhishoñ kī bhiiḌ meñ tū na kho sakā kabhī
intizār meñ tire zaḳhm-e-dil harā sā hai
āñsuoñ kī vo nadī ḳhushk ho chalī magar
tere dard kā shajar aaj bhī harā sā hai
āñdhiyoñ kā ġham nahīñ dhuup kā sitam nahīñ
chāhatoñ ke phuul kā rang kyuuñ uḌā sā hai
kyā yazīd-e-vaqt kī zad pe hai usūl-e-haq
shahr-e-jāñ meñ har taraf shor-e-karbalā sā hai
vo mirī haqīqateñ kar hī detā hai ayaañ
ya.anī terā husn bhī koī aa.ina sā hai
jis tarah bhī chāhiye aap lutf uThā.iye
dard kā fasāna bhī qissa-e-vafā sā hai
us ke pā-e-nāz par kyuuñ na ḳham karūñ jabīñ
merī chashm-e-shauq meñ vo sanam ḳhudā sā hai
us ke saa.e saa.e hī kaT rahī hai zindagī
harf harf vo tirā dhuup meñ ghaTā sā hai
bas ki mujh se wo sanam in dinon KHafa sa hai
aankh meri nam si hai dil mera bujha sa hai
KHwahishon ki bhiD mein tu na kho saka kabhi
intizar mein tere zaKHm-e-dil hara sa hai
aansuon ki wo nadi KHushk ho chali magar
tere dard ka shajar aaj bhi hara sa hai
aandhiyon ka gham nahin dhup ka sitam nahin
chahaton ke phul ka rang kyun uDa sa hai
kya yazid-e-waqt ki zad pe hai usul-e-haq
shahr-e-jaan mein har taraf shor-e-karbala sa hai
wo meri haqiqaten kar hi deta hai ayan
yani tera husn bhi koi aaina sa hai
jis tarah bhi chahiye aap lutf uThaiye
dard ka fasana bhi qissa-e-wafa sa hai
us ke pa-e-naz par kyun na KHam karun jabin
meri chashm-e-shauq mein wo sanam KHuda sa hai
us ke sae sae hi kaT rahi hai zindagi
harf harf wo tera dhup mein ghaTa sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.