bas mohabbat hi nahin hai par sadaqat hai bahut
bas mohabbat hī nahīñ hai par sadāqat hai bahut
ai ḳhudā us shaḳhs ke dil meñ sharāfat hai bahut
chūmtā hai vo hazāroñ phuul har din baaġh meñ
har kalī ko phir bhī us bhañvre se ulfat hai bahut
hañs rahī huuñ maiñ agar to ḳhush huuñ ye na sochnā
ḳhauf hai khone kā tujh ko ye hī vahshat hai bahut
is liye kartī nahīñ maiñ dard ko apne bayāñ
har zabāñ par bas nasīhat uf nasīhat hai bahut
bas mohabbat hi nahin hai par sadaqat hai bahut
ai KHuda us shaKHs ke dil mein sharafat hai bahut
chumta hai wo hazaron phul har din bagh mein
har kali ko phir bhi us bhanwre se ulfat hai bahut
hans rahi hun main agar to KHush hun ye na sochna
KHauf hai khone ka tujh ko ye hi wahshat hai bahut
is liye karti nahin main dard ko apne bayan
har zaban par bas nasihat uf nasihat hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.