bas yahi baat yahan harf-e-malamat ki hai
bas yahī baat yahāñ harf-e-malāmat kī hai
maiñ ne dariyā kī nahīñ dasht kī bai.at kī hai
qatl sūraj ko kiyā vo bhī chhupā kar ḳhanjar
shaam vāloñ ne sahar meñ ye siyāsat kī hai
varna kyā ham ko ġharaz haal tumhārā pūchheñ
baat ye kuchh bhī nahīñ sirf mohabbat kī hai
ham to maujoñ se laḌe aur kināre pahuñche
ham ne kab Dūbtī kashtī kī himāyat kī hai
abhī dālān meñ utre nahīñ shab ke saa.e
jaane vaale ne sunā ye hai ki ujlat kī hai
ab añdhere hī añdhere haiñ galī-kūchoñ meñ
chāñd-tāroñ ne mire shahr se hijrat kī hai
ye alag baat ki alfāz haiñ ab bhī raushan
tere ḳhanjar ne to is baar bhī jur.at kī hai
ab use DhūñDne niklī haiñ barahna yādeñ
jis ne kāġhaz ke libāsoñ kī tijārat kī hai
mere hoñToñ pe ḳhamoshī ke paḌe haiñ taale
merī āñkhoñ ne mirī aaj bhī shohrat kī hai
bas yahi baat yahan harf-e-malamat ki hai
main ne dariya ki nahin dasht ki baiat ki hai
qatl suraj ko kiya wo bhi chhupa kar KHanjar
sham walon ne sahar mein ye siyasat ki hai
warna kya hum ko gharaz haal tumhaara puchhen
baat ye kuchh bhi nahin sirf mohabbat ki hai
hum to maujon se laDe aur kinare pahunche
hum ne kab Dubti kashti ki himayat ki hai
abhi dalan mein utre nahin shab ke sae
jaane wale ne suna ye hai ki ujlat ki hai
ab andhere hi andhere hain gali-kuchon mein
chand-taron ne mere shahr se hijrat ki hai
ye alag baat ki alfaz hain ab bhi raushan
tere KHanjar ne to is bar bhi jurat ki hai
ab use DhunDne nikli hain barahna yaaden
jis ne kaghaz ke libason ki tijarat ki hai
mere honTon pe KHamoshi ke paDe hain tale
meri aankhon ne meri aaj bhi shohrat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.