bas yahi soch ke KHush-bash raha jaane laga
bas yahī soch ke ḳhush-bāsh rahā jaane lagā
tujh ko afsos to ho haath se kyā jaane lagā
maiñ ne ik she'r tire naam kiyā hai jab se
merā har she'r tavajjoh se sunā jaane lagā
log ik daur meñ dīvāreñ chunā karte the
phir to dīvār meñ logoñ ko chunā jaane lagā
tujh ko ik baar mire dukh pe hañsī aa.ī thī
phir har uftād pe duniyā meñ hañsā jaane lagā
maiñ ne us shaḳhs ko jaane kī ijāzat kyā dī
maiñ use bhejne vāloñ meñ ginā jaane lagā
mujh ko ik shaḳhs se milne kī bahut jaldī thī
itnī jaldī thī ki nīñdoñ meñ chalā jaane lagā
mujh ko bhagvān kā autār samajh baiThā thā
aañkh jhapkī to parastār uThā jaane lagā
jaise shahroñ ke kabhī naam paḌā karte the
aise ik din se mujhe terā kahā jaane lagā
bas yahi soch ke KHush-bash raha jaane laga
tujh ko afsos to ho hath se kya jaane laga
main ne ek she'r tere nam kiya hai jab se
mera har she'r tawajjoh se suna jaane laga
log ek daur mein diwaren chuna karte the
phir to diwar mein logon ko chuna jaane laga
tujh ko ek bar mere dukh pe hansi aai thi
phir har uftad pe duniya mein hansa jaane laga
main ne us shaKHs ko jaane ki ijazat kya di
main use bhejne walon mein gina jaane laga
mujh ko ek shaKHs se milne ki bahut jaldi thi
itni jaldi thi ki nindon mein chala jaane laga
mujh ko bhagwan ka autar samajh baiTha tha
aankh jhapki to parastar uTha jaane laga
jaise shahron ke kabhi nam paDa karte the
aise ek din se mujhe tera kaha jaane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.