basae jate hain ahl-e-junun se virane
basā.e jaate haiñ ahl-e-junūñ se vīrāne
rumūz-e-mamlikat-e-husn koī kyā jaane
ye kis kī bazm hai ārāsta ḳhudā jaane
nahīñ hai sham.a to kyoñ jal rahe haiñ parvāne
hai banda hone ke iz.hār par bashar majbūr
pa-e-sujūd baneñ masjideñ ki but-ḳhāne
na qais dasht meñ hai aur na koh meñ farhād
par un ke naam se guuñj uThte haiñ ye vīrāne
fuzūñ haiñ naġhma-e-bulbul se qahqahe gul ke
ki intizām-e-chaman ab kareñge dīvāne
dayār-e-ishq meñ barpā hai inqilāb-e-azīm
ye daur vo hai ki apne hue haiñ begāne
chhupā liyā ruḳh-e-anvar hinā.ī hāthoñ se
hamāre dil pe jo guzrī tirī balā jaane
sitam hazār hoñ zālim magar diloñ ko na toḌ
tire ḳhayāl se ābād haiñ ye kāshāne
vo hāl-e-ġham mirā ḳhud mujh se sun ke kahte haiñ
ki sun chuke haiñ ham aise hazār afsāne
hai bāda-noshī se mastoñ ko bād-e-marg bhī rabt
ki un kī ḳhaak se yaañ ban rahe haiñ paimāne
sanam se hāl-e-dil-e-zār kah to duuñ 'āġhā'
magar maiñ jā.ūñ kahāñ vo agar burā maane
basae jate hain ahl-e-junun se virane
rumuz-e-mamlikat-e-husn koi kya jaane
ye kis ki bazm hai aarasta KHuda jaane
nahin hai shama to kyon jal rahe hain parwane
hai banda hone ke izhaar par bashar majbur
pa-e-sujud banen masjiden ki but-KHane
na qais dasht mein hai aur na koh mein farhad
par un ke nam se gunj uThte hain ye virane
fuzun hain naghma-e-bulbul se qahqahe gul ke
ki intizam-e-chaman ab karenge diwane
dayar-e-ishq mein barpa hai inqilab-e-azim
ye daur wo hai ki apne hue hain begane
chhupa liya ruKH-e-anwar hinai hathon se
hamare dil pe jo guzri teri bala jaane
sitam hazar hon zalim magar dilon ko na toD
tere KHayal se aabaad hain ye kashane
wo haal-e-gham mera KHud mujh se sun ke kahte hain
ki sun chuke hain hum aise hazar afsane
hai baada-noshi se maston ko baad-e-marg bhi rabt
ki un ki KHak se yan ban rahe hain paimane
sanam se haal-e-dil-e-zar kah to dun 'agha'
magar main jaun kahan wo agar bura mane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.