basarat se nahin kuchh aur hi pahlu se raushan hai
basarat se nahin kuchh aur hi pahlu se raushan hai
Shahabuddin Saqib
MORE BYShahabuddin Saqib
basārat se nahīñ kuchh aur hī pahlū se raushan hai
jo sach pūchho to rasta nāfā-e-āhū se raushan hai
batāne kī nahīñ phir bhī sar-e-mahfil batātā huuñ
mashām-e-jān-o-dil merā usī ḳhushbū se raushan hai
yad-e-mūsā pe koh-e-tūr pe kyā kyā na raushan thā
ta.ajjub hai ki ye duniyā magar jaadū se raushan hai
añdherā bastiyoñ meñ hai magar apnā to vīrāna
ġhubār-e-rāh se aur kuchh ram-e-āhū se raushan hai
ye sach hai ḳhāna-e-farhād teshe se hī raushan thā
charāġh-e-chashm-e-shīrīñ bhī udhar aañsū se raushan hai
basarat se nahin kuchh aur hi pahlu se raushan hai
jo sach puchho to rasta nafa-e-ahu se raushan hai
batane ki nahin phir bhi sar-e-mahfil batata hun
masham-e-jaan-o-dil mera usi KHushbu se raushan hai
yad-e-musa pe koh-e-tur pe kya kya na raushan tha
tajjub hai ki ye duniya magar jadu se raushan hai
andhera bastiyon mein hai magar apna to virana
ghubar-e-rah se aur kuchh ram-e-ahu se raushan hai
ye sach hai KHana-e-farhad teshe se hi raushan tha
charagh-e-chashm-e-shirin bhi udhar aansu se raushan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.