basanti rut hai sab phulon ko tu mahfuz rakhna
basanti rut hai sab phulon ko tu mahfuz rakhna
Rafia Shabnam Abidi
MORE BYRafia Shabnam Abidi
basantī rut hai sab phūloñ ko tū mahfūz rakhnā
mere allah khilī sarsoñ ko tū mahfūz rakhnā
saroñ ko kāTne kī fasl phir se aa ga.ī hai
in afshāñ se bharī māñgoñ ko tū mahfūz rakhnā
jaleñ jab ghar to yā-rab tujh se itnī iltijā hai
dupaTToñ se Dhake chehroñ ko tū mahfūz rakhnā
fazāoñ meñ hazāroñ baaz mañDlāne lage haiñ
har āñgan kī sabhī chiḌiyoñ ko tū mahfūz rakhnā
abhī ḳheme bhī haiñ kuuze bhī haiñ paanī nahīñ hai
qasam abbās kī bachchoñ ko tū mahfūz rakhnā
buzurgoñ kī duā.eñ aaj kitnī lāzmī haiñ
javānoñ ke liye būḌhoñ ko tū mahfūz rakhnā
savā neze pe sūraj aa rahā hai aa na jaa.e
havāoñ ke ḳhunuk jhoñkoñ ko tū mahfūz rakhnā
sulagtī rut meñ 'shabnam' ye tirā hī farz Thahrā
chaman meñ ab ke sab kaliyoñ ko tū mahfūz rakhnā
basanti rut hai sab phulon ko tu mahfuz rakhna
mere allah khili sarson ko tu mahfuz rakhna
saron ko kaTne ki fasl phir se aa gai hai
in afshan se bhari mangon ko tu mahfuz rakhna
jalen jab ghar to ya-rab tujh se itni iltija hai
dupaTTon se Dhake chehron ko tu mahfuz rakhna
fazaon mein hazaron baz manDlane lage hain
har aangan ki sabhi chiDiyon ko tu mahfuz rakhna
abhi KHeme bhi hain kuze bhi hain pani nahin hai
qasam abbas ki bachchon ko tu mahfuz rakhna
buzurgon ki duaen aaj kitni lazmi hain
jawanon ke liye buDhon ko tu mahfuz rakhna
sawa neze pe suraj aa raha hai aa na jae
hawaon ke KHunuk jhonkon ko tu mahfuz rakhna
sulagti rut mein 'shabnam' ye tera hi farz Thahra
chaman mein ab ke sab kaliyon ko tu mahfuz rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.