base hue to hain lekin dalil koi nahin
base hue to haiñ lekin dalīl koī nahīñ
kuchh aise shahr haiñ jin kī fasīl koī nahīñ
kisī se kis tarah insāf māñgne jā.ūñ
adālateñ to bahut haiñ adiil koī nahīñ
sabhī ke hāthoñ pe likkhā hai un kā nām-o-nasab
qabīl-dār haiñ sab be-qabīl koī nahīñ
hai dasht-e-ġham kā safar aur mujhe ḳhabar bhī hai
ki rāste meñ kahīñ sang-e-mīl koī nahīñ
abhī se DhūñD ke rakkho nazar meñ rāh-e-mafar
yahāñ hai pyaas se marnā sabīl koī nahīñ
mirī shanāḳht alag hai tirī shanāḳht alag
ye zo'm donoñ ko apnā masīl koī nahīñ
base hue to hain lekin dalil koi nahin
kuchh aise shahr hain jin ki fasil koi nahin
kisi se kis tarah insaf mangne jaun
adalaten to bahut hain adil koi nahin
sabhi ke hathon pe likkha hai un ka nam-o-nasab
qabil-dar hain sab be-qabil koi nahin
hai dasht-e-gham ka safar aur mujhe KHabar bhi hai
ki raste mein kahin sang-e-mil koi nahin
abhi se DhunD ke rakkho nazar mein rah-e-mafar
yahan hai pyas se marna sabil koi nahin
meri shanaKHt alag hai teri shanaKHt alag
ye zo'm donon ko apna masil koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.