bashar ho ishq-e-baham ki satah pe aao kabhi
bashar ho ishq-e-baham kī satah pe aao kabhī
kabhī to shikva karo tum gila jatāo kabhī
udaas shaam mire intizār meñ guzrī
niyāz-e-husn kā ye ruḳh bhī to dikhāo kabhī
mirā bhī dāva-e-ulfat koī vah.y to nahīñ
tumheñ bhī haq hai mujhe tum bhī āzmāo kabhī
yaqīñ ho dil ko ki donoñ taraf hī chāhat hai
jo mil ke jaao to betāb lauT aao kabhī
parind gaa.eñ daraḳhtoñ pe phuul phal aa.eñ
ġhilāf-e-ḳhauf chaman se jo tum uThāo kabhī
mohabbatoñ ke mahal nūr-e-ruḳh se raushan haiñ
mohabbatoñ ke khañDar ko bhī jagmagāo kabhī
ajab hai khel mohabbat kā is meñ haar hī jiit
kabhī na jītnā chāho jo haar jaao kabhī
bashar ho ishq-e-baham ki satah pe aao kabhi
kabhi to shikwa karo tum gila jatao kabhi
udas sham mere intizar mein guzri
niyaz-e-husn ka ye ruKH bhi to dikhao kabhi
mera bhi dawa-e-ulfat koi wahy to nahin
tumhein bhi haq hai mujhe tum bhi aazmao kabhi
yaqin ho dil ko ki donon taraf hi chahat hai
jo mil ke jao to betab lauT aao kabhi
parind gaen daraKHton pe phul phal aaen
ghilaf-e-KHauf chaman se jo tum uThao kabhi
mohabbaton ke mahal nur-e-ruKH se raushan hain
mohabbaton ke khanDar ko bhi jagmagao kabhi
ajab hai khel mohabbat ka is mein haar hi jit
kabhi na jitna chaho jo haar jao kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.