bashar ki KHu mein salamat rawi nahin shayad
bashar kī ḳhū meñ salāmat ravī nahīñ shāyad
miTe ye nasl to āsūda ho zamīñ shāyad
huuñ apne zehn kī tārīkiyoñ meñ sargardāñ
sunā hai ye ki ḳhudā hai yahīñ kahīñ shāyad
mire ḳhayāl ke ḳhalvat-kade haiñ dair-o-haram
mire mizāj ke mausam haiñ kufr-o-dīñ shāyad
maiñ us ko dekhūñgā lekin ik aur aalam meñ
maiñ us ko pā.ūñgā lekin abhī nahīñ shāyad
maiñ chhoḌ aaya masā.il ke jis jahannum ko
mire nasīb kī jannat bhī thī vahīñ shāyad
uThī vo aañkh to dil kā surāġh bhī na milā
hiran se haar gayā ye subuktagīñ shāyad
adū bhī dost bhī sab ham pe mehrbāñ the bahut
kuchh apne aap se bargashta the hamīñ shāyad
har ek haath meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
ulaT rahī hai zamāne kī āstīñ shāyad
bashar ki KHu mein salamat rawi nahin shayad
miTe ye nasl to aasuda ho zamin shayad
hun apne zehn ki tarikiyon mein sargardan
suna hai ye ki KHuda hai yahin kahin shayad
mere KHayal ke KHalwat-kade hain dair-o-haram
mere mizaj ke mausam hain kufr-o-din shayad
main us ko dekhunga lekin ek aur aalam mein
main us ko paunga lekin abhi nahin shayad
main chhoD aaya masail ke jis jahannum ko
mere nasib ki jannat bhi thi wahin shayad
uThi wo aankh to dil ka suragh bhi na mila
hiran se haar gaya ye subuktagin shayad
adu bhi dost bhi sab hum pe mehrban the bahut
kuchh apne aap se bargashta the hamin shayad
har ek hath mein KHanjar dikhai deta hai
ulaT rahi hai zamane ki aastin shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.