bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai
bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
bashar kī zad meñ junūñ bhī hai āgahī bhī hai
ye musht-e-ḳhāk farishta bhī aadmī bhī hai
hazār haif vahī dushmanī pe haiñ maa.il
vo log jin pe hameñ haqq-e-dostī bhī hai
dayār-e-ishq meñ aise gadā bhī dekhe haiñ
ki jin ke zer-e-kaf-e-pā shahanshahī bhī hai
fasāna jis ko samajh kar bigaḌ rahe ho tum
jo sun sako to vo ahvāl vāqa.ī bhī hai
havas sharīk ho is meñ to maut hai varna
jo sidq ho to mohabbat meñ zindagī bhī hai
har ek tār-e-rag-e-jāñ meñ naġhmagī bhar dī
sitam ki us pe ye talqīn-e-ḳhāmushī bhī hai
vafā kā zikr to karte haiñ raat din sab log
vafā zamāne meñ lekin kahīñ rahī bhī hai
payām-e-vasl diyā hai hameñ adū ke haath
karam ke saath adā-e-sitamgarī bhī hai
ye dil jo vāqif-e-asrār-e-do-jahāñ niklā
ḳhushā-nasīb ki ye ḳhud se ajnabī bhī hai
surūr ishq kā hai zarf-e-dil pe dār-o-madār
ye dā.imī sā nasha bhī hai aarzī bhī hai
tū pī ke lutf uThātā hai yā bahaktā hai
uThā ki shīshe meñ ik dev bhī parī bhī hai
hujūm-e-ġham ke añdhere bhī dil meñ haiñ lekin
kisī kī yaad kī ujlī sī raushnī bhī hai
rahīn-e-vus.at-e-dāmāñ hai ishq kī ḳhairāt
saḳhī ke ghar meñ kisī baat kī kamī bhī hai
bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai
ye musht-e-KHak farishta bhi aadmi bhi hai
hazar haif wahi dushmani pe hain mail
wo log jin pe hamein haqq-e-dosti bhi hai
dayar-e-ishq mein aise gada bhi dekhe hain
ki jin ke zer-e-kaf-e-pa shahanshahi bhi hai
fasana jis ko samajh kar bigaD rahe ho tum
jo sun sako to wo ahwal waqai bhi hai
hawas sharik ho is mein to maut hai warna
jo sidq ho to mohabbat mein zindagi bhi hai
har ek tar-e-rag-e-jaan mein naghmagi bhar di
sitam ki us pe ye talqin-e-KHamushi bhi hai
wafa ka zikr to karte hain raat din sab log
wafa zamane mein lekin kahin rahi bhi hai
payam-e-wasl diya hai hamein adu ke hath
karam ke sath ada-e-sitamgari bhi hai
ye dil jo waqif-e-asrar-e-do-jahan nikla
KHusha-nasib ki ye KHud se ajnabi bhi hai
surur ishq ka hai zarf-e-dil pe dar-o-madar
ye daimi sa nasha bhi hai aarzi bhi hai
tu pi ke lutf uThata hai ya bahakta hai
uTha ki shishe mein ek dew bhi pari bhi hai
hujum-e-gham ke andhere bhi dil mein hain lekin
kisi ki yaad ki ujli si raushni bhi hai
rahin-e-wusat-e-daman hai ishq ki KHairaat
saKHi ke ghar mein kisi baat ki kami bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.