bashar ko chahiye himmat se kaam le ke chale
bashar ko chāhiye himmat se kaam le ke chale
rah-e-junūñ pe bagūloñ kā naam le ke chale
ye kaisā tarz-e-vafā hai pahuñch ke manzil par
ham us ko bhuul ga.e jis kā naam le ke chale
koī hai dār-o-rasan par kisī kī kaj hai kulāh
har ek shaḳhs bas apnā maqām le ke chale
palak palak pe charāġhāñ hai un kī yādoñ kā
nafas nafas kisī hamdam kā naam le ke chale
na ab 'qatīl' rahe haiñ na shā.erī kī dhanak
rah-e-suḳhan meñ koī kis kā naam le ke chale
maiñ haal tīra-shabī kā sunā.ūñ kis ko 'kiran'
charāġh DhūñDne nikle the shaam le ke chale
bashar ko chahiye himmat se kaam le ke chale
rah-e-junun pe bagulon ka nam le ke chale
ye kaisa tarz-e-wafa hai pahunch ke manzil par
hum us ko bhul gae jis ka nam le ke chale
koi hai dar-o-rasan par kisi ki kaj hai kulah
har ek shaKHs bas apna maqam le ke chale
palak palak pe charaghan hai un ki yaadon ka
nafas nafas kisi hamdam ka nam le ke chale
na ab 'qatil' rahe hain na shaeri ki dhanak
rah-e-suKHan mein koi kis ka nam le ke chale
main haal tira-shabi ka sunaun kis ko 'kiran'
charagh DhunDne nikle the sham le ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.