basne kī aarzū liye tū dil meñ mere aa
aa ai ḳhayāl-e-yār yūñhī dhīre dhīre aa
raushan haiñ chāñd taare hai tanhā hasīn raat
shab ke fusūñ meñ gum hoñ to yuuñ kar savere aa
chashma lagā.e phirtā huuñ sūraj ke shahr meñ
kuchh reshmī añdhere de zulfeñ bikhere aa
rāteñ mirī sañvār hai ik terā intizār
ai yād-e-yār maiñ huā qurbān tere aa
jismoñ ke fāsle haiñ tazād-e-ta'alluqāt
kab se haiñ muntazir mirī bāñhoñ ke ghere aa
koī naved-e-sub.h to aa.egī ai 'naved'
dam toḌne lage haiñ sitam ke añdhere aa
basne ki aarzu liye tu dil mein mere aa
aa ai KHayal-e-yar yunhi dhire dhire aa
raushan hain chand tare hai tanha hasin raat
shab ke fusun mein gum hon to yun kar sawere aa
chashma lagae phirta hun suraj ke shahr mein
kuchh reshmi andhere de zulfen bikhere aa
raaten meri sanwar hai ek tera intizar
ai yaad-e-yar main hua qurban tere aa
jismon ke fasle hain tazad-e-ta'alluqat
kab se hain muntazir meri banhon ke ghere aa
koi nawed-e-subh to aaegi ai 'nawed'
dam toDne lage hain sitam ke andhere aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.