basti basti ghor andhera suna suna jada tha
bastī bastī ghor añdherā suunā suunā jaada thā
shab ke pichhle-pahar kā sannāTā kuchh aur ziyāda thā
sehn-e-chaman meñ ravish ravish par aas ke phuul ugaa.e the
lekin ye mahsūs huā har manzar pesh-uftāda thā
lafz koī aaseb na the log us kī sadā se kyuuñ Darte
vaqt ke andhe kuñ.eñ kā ye āshob to sīdhā-sāda thā
jiite jāgte phuul badan meñ kaise kaise rog lage
dil kā kyā hai dil to apne ḳhvāboñ kā shahzāda thā
maslihateñ aaḌe aa.eñ yā ahl-e-junūñ dil chhoḌ ga.e
jo honā hai aaj ho jaa.e dil is par āmāda thā
basti basti ghor andhera suna suna jada tha
shab ke pichhle-pahar ka sannaTa kuchh aur ziyaada tha
sehn-e-chaman mein rawish rawish par aas ke phul ugae the
lekin ye mahsus hua har manzar pesh-uftada tha
lafz koi aaseb na the log us ki sada se kyun Darte
waqt ke andhe kunen ka ye aashob to sidha-sada tha
jite jagte phul badan mein kaise kaise rog lage
dil ka kya hai dil to apne KHwabon ka shahzada tha
maslihaten aaDe aaen ya ahl-e-junun dil chhoD gae
jo hona hai aaj ho jae dil is par aamada tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.