basti mein ek gosha-e-viran hi to tha
bastī meñ ek gosha-e-vīrān hī to thā
phaT bhī gayā to kyā hai garebān hī to thā
tum bhī zarā sī baat ko ghar le ke aa ga.e
fōtpath par jo mar gayā insān hī to thā
achchhā huā ki chāñd samundar meñ jā girā
ai raat ham pe ye tirā ehsān hī to thā
bachchoñ ne toḌ bhī diyā us ko to kyā huā
miTTī kā ek chhoTā sā guldān hī to thā
mātam guzishta raat kī chorī kā kyā kareñ
kamre meñ ek 'mīr' kā dīvān hī to thā
āñkhoñ se ye sarāb bhī bach kar nikal gayā
TuuTā jo raat kāñch kā paimān hī to thā
maanā ki dil ke paas se guzrā magar 'shakīl'
āḳhir vo ek lamha-e-anjān hī to thā
basti mein ek gosha-e-viran hi to tha
phaT bhi gaya to kya hai gareban hi to tha
tum bhi zara si baat ko ghar le ke aa gae
footpath par jo mar gaya insan hi to tha
achchha hua ki chand samundar mein ja gira
ai raat hum pe ye tera ehsan hi to tha
bachchon ne toD bhi diya us ko to kya hua
miTTi ka ek chhoTa sa guldan hi to tha
matam guzishta raat ki chori ka kya karen
kamre mein ek 'mir' ka diwan hi to tha
aankhon se ye sarab bhi bach kar nikal gaya
TuTa jo raat kanch ka paiman hi to tha
mana ki dil ke pas se guzra magar 'shakil'
aaKHir wo ek lamha-e-anjaan hi to tha
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 75)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.