basti mein zindagi ke nishan tak nahin rahe
bastī meñ zindagī ke nishāñ tak nahīñ rahe
aisī havā chalī ki makāñ tak nahīñ rahe
sailāb saath le gayā sāhil ko is liye
tinkoñ se mirā rabt vahāñ tak nahīñ rahe
sūraj hañsā to raat ke saa.e tamām-tar
yuuñ miT ga.e ki un ke nishāñ tak nahīñ rahe
apnā shu.ūr-o-fikr hai apnī udheḌ-bun
ham log ab kisī pe garāñ tak nahīñ rahe
kī jin ke izz-o-shān kī tārīf umr bhar
vo chāhte haiñ merī zabāñ tak nahīñ rahe
bachche bhī maañ kī baat se ab muttafiq nahīñ
chūlhā jale to ghar meñ dhuāñ tak nahīñ rahe
us ne kalām aise hunar se kiyā 'asar'
lafzoñ ke tiir sirf zabāñ tak nahīñ rahe
basti mein zindagi ke nishan tak nahin rahe
aisi hawa chali ki makan tak nahin rahe
sailab sath le gaya sahil ko is liye
tinkon se mera rabt wahan tak nahin rahe
suraj hansa to raat ke sae tamam-tar
yun miT gae ki un ke nishan tak nahin rahe
apna shuur-o-fikr hai apni udheD-bun
hum log ab kisi pe garan tak nahin rahe
ki jin ke izz-o-shan ki tarif umr bhar
wo chahte hain meri zaban tak nahin rahe
bachche bhi man ki baat se ab muttafiq nahin
chulha jale to ghar mein dhuan tak nahin rahe
us ne kalam aise hunar se kiya 'asar'
lafzon ke tir sirf zaban tak nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.