bastiyan viran hongi kasrat-e-tamir se
bastiyāñ vīrān hoñgī kasrat-e-ta.amīr se
ye khañDar ubhre haiñ duniyā meñ isī tadbīr se
koh bhī karte haiñ zāhir shiddat-e-jazbāt ko
zalzale aate haiñ aksar garmī-e-tahrīr se
merī qismat ke sitāre āstīñ meñ haiñ mirī
ab qadam nikleñge bāhar halqa-e-taqdīr se
ab ke sochā thā kareñ kuchh ham bhī zaḳhmoñ kā ilaaj
kar ga.e mausam davāoñ ko judā tāsīr se
ek ik lamhe se miltā hai yahī ham ko shu.ūr
ik sadī ho jā.eñge pīchhe zarā tāḳhīr se
zindagī Thahrā havāoñ meñ ye lahroñ kā nizām
saarī duniyā raqs meñ hai ek hī zanjīr se
yuuñ huā mahsūs dil ko jab milā sāñsoñ kā lams
har badan vāqif nahīñ hai dhuup kī tāsīr se
haiñ yahī nī۔ndeñ to koī chhīn le nī۔ndeñ 'nazar'
ḳhvāb se pahle hoñ vāqif ḳhvāb kī ta.abīr se
bastiyan viran hongi kasrat-e-tamir se
ye khanDar ubhre hain duniya mein isi tadbir se
koh bhi karte hain zahir shiddat-e-jazbaat ko
zalzale aate hain aksar garmi-e-tahrir se
meri qismat ke sitare aastin mein hain meri
ab qadam niklenge bahar halqa-e-taqdir se
ab ke socha tha karen kuchh hum bhi zaKHmon ka ilaj
kar gae mausam dawaon ko juda tasir se
ek ek lamhe se milta hai yahi hum ko shuur
ek sadi ho jaenge pichhe zara taKHir se
zindagi Thahra hawaon mein ye lahron ka nizam
sari duniya raqs mein hai ek hi zanjir se
yun hua mahsus dil ko jab mila sanson ka lams
har badan waqif nahin hai dhup ki tasir se
hain yahi ni۔nden to koi chhin le ni۔nden 'nazar'
KHwab se pahle hon waqif KHwab ki tabir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.