bata ai mauj-e-dil hone ko hai kya
batā ai mauj-e-dil hone ko hai kyā
matā-e-naqd-e-jāñ khone ko hai kyā
thakan se chuur kyoñ saarā badan hai
safar kā iḳhtitām hone ko hai kyā
hameñ kyoñ niiñd sī aane lagī hai
shab-e-hijrāñ sahar hone ko hai kyā
ḳhudā ābād rakkhe aap kā ġham
na ho ye ġham to phir rone ko hai kyā
zamīñ banjar na daana hai na paanī
tamanna ke sivā bone ko hai kyā
ham apnā bojh ab tak Dho rahe haiñ
tumhārā bojh bhī Dhone ko hai kyā
gañvā dī zindagī kār-e-abas meñ
hamāre paas ab khone ko hai kyā
jo honā thā vo sab kuchh ho chukā hai
na jaane aur ab hone ko hai kyā
zamīñ ḳhāmosh hai aur āsmāñ chup
kisī din dekhnā hone ko hai kyā
bata ai mauj-e-dil hone ko hai kya
mata-e-naqd-e-jaan khone ko hai kya
thakan se chur kyon sara badan hai
safar ka iKHtitam hone ko hai kya
hamein kyon nind si aane lagi hai
shab-e-hijran sahar hone ko hai kya
KHuda aabaad rakkhe aap ka gham
na ho ye gham to phir rone ko hai kya
zamin banjar na dana hai na pani
tamanna ke siwa bone ko hai kya
hum apna bojh ab tak Dho rahe hain
tumhaara bojh bhi Dhone ko hai kya
ganwa di zindagi kar-e-abas mein
hamare pas ab khone ko hai kya
jo hona tha wo sab kuchh ho chuka hai
na jaane aur ab hone ko hai kya
zamin KHamosh hai aur aasman chup
kisi din dekhna hone ko hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.