bata dunga meri sab nekiyan bhi
batā dūñgā mirī sab nekiyāñ bhī
magar haiñ dost mujh meñ ḳhāmiyāñ bhī
qayāmat duur bilkul bhī nahīñ hai
agar maarī ga.iiñ yuuñ beTiyāñ bhī
kabhī tum ġhaur se lafzoñ ko dekho
chhupā hai dard un ke darmiyāñ bhī
tujhe to yaad ab maiñ bhī nahīñ huuñ
mujhe haiñ yaad terī chūḌiyāñ bhī
kiyā thā sham' par bārish ne hamla
bujhāne meñ lagī thiiñ āñdhiyāñ bhī
mujhe ab bhūlne kī Thaan lī kyā
nahīñ aatī haiñ ab to hichkiyāñ bhī
batā.ūñ laḌkiyo ik baat tum ko
laḌo to toḌ do tum beḌiyāñ bhī
na jaao kah rahī thiiñ terī āñkheñ
ishāre kar rahī thiiñ bāliyāñ bhī
'vijay' kā pyaar hī thā vo to keval
yahāñ to TūTtī haiñ shādiyāñ bhī
bata dunga meri sab nekiyan bhi
magar hain dost mujh mein KHamiyan bhi
qayamat dur bilkul bhi nahin hai
agar mari gain yun beTiyan bhi
kabhi tum ghaur se lafzon ko dekho
chhupa hai dard un ke darmiyan bhi
tujhe to yaad ab main bhi nahin hun
mujhe hain yaad teri chuDiyan bhi
kiya tha sham' par barish ne hamla
bujhane mein lagi thin aandhiyan bhi
mujhe ab bhulne ki Than li kya
nahin aati hain ab to hichkiyan bhi
bataun laDkiyo ek baat tum ko
laDo to toD do tum beDiyan bhi
na jao kah rahi thin teri aankhen
ishaare kar rahi thin baaliyan bhi
'wijay' ka pyar hi tha wo to kewal
yahan to TuTti hain shadiyan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.