bata muhaqqiq ki tha bhi koi wujud-e-kaun-o-makan se pahle
batā muhaqqiq ki thā bhī koī vujūd-e-kaun-o-makāñ se pahle
kisī kā honā huā bhī sābit sabāt-e-har-do-jahāñ se pahle
chaman ke ham bhī the rahne vaale ḳhudā kisī kā na ghar ujāḌe
hamāre ghar bhī thā rashk-e-jannat magar thā daur-e-ḳhizāñ se pahle
qafas meñ merā jo saañs ukhḌā fuġhāñ kā us ko gumān guzrā
zabān kaaTī hai us ne merī sitam to dekho fuġhāñ se pahle
hamārī rif'at kā pūchhnā kyā kabhī the ḳhuld-e-barīñ ke sākin
hamārā rutba malā.ika se sivā thā naql-e-makāñ se pahle
jahān Duubā to kyā karūñ maiñ rulāyā hotā na tum ne mujh ko
ḳhabar maiñ tūfāñ kī de chukā thā tumheñ bhī ashk-e-ravāñ se pahle
juḌe the qismat se chaar tinke falak kī āñkhoñ meñ vo bhī khaTke
mujhe hai khaTkā ki phir nasheman kahīñ na ujḌe ḳhizāñ se pahle
tumhāre vā'de kā kyā bharosa yaqīñ hai ham ko na hogā iifā
phiroge ab bhī zabāñ se apnī phire the jaise zabāñ se pahle
na haar dekhī na jiit apnī samāyā saudā kuchh aisā sar meñ
butoñ se dil kī lagā.ī baazī hisāb-e-sūd-o-ziyāñ se pahle
hayāt apnī rafīq niklī lagāyā us ne 'rasā' Thikāne
vahīñ pe le jā ke mujh ko chhoḌā chalī thī le kar jahāñ se pahle
bata muhaqqiq ki tha bhi koi wujud-e-kaun-o-makan se pahle
kisi ka hona hua bhi sabit sabaat-e-har-do-jahan se pahle
chaman ke hum bhi the rahne wale KHuda kisi ka na ghar ujaDe
hamare ghar bhi tha rashk-e-jannat magar tha daur-e-KHizan se pahle
qafas mein mera jo sans ukhDa fughan ka us ko guman guzra
zaban kaTi hai us ne meri sitam to dekho fughan se pahle
hamari rif'at ka puchhna kya kabhi the KHuld-e-barin ke sakin
hamara rutba malaika se siwa tha naql-e-makan se pahle
jahan Duba to kya karun main rulaya hota na tum ne mujh ko
KHabar main tufan ki de chuka tha tumhein bhi ashk-e-rawan se pahle
juDe the qismat se chaar tinke falak ki aankhon mein wo bhi khaTke
mujhe hai khaTka ki phir nasheman kahin na ujDe KHizan se pahle
tumhaare wa'de ka kya bharosa yaqin hai hum ko na hoga ifa
phiroge ab bhi zaban se apni phire the jaise zaban se pahle
na haar dekhi na jit apni samaya sauda kuchh aisa sar mein
buton se dil ki lagai bazi hisab-e-sud-o-ziyan se pahle
hayat apni rafiq nikli lagaya us ne 'rasa' Thikane
wahin pe le ja ke mujh ko chhoDa chali thi le kar jahan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.