bata rakkha hai maine zindagi ko
batā rakkhā hai maiñ ne zindagī ko
maiñ phir se vaqt dūñgā shā.erī ko
na jaane kis ghaḌī tum se milā thā
yaqīñ aatā nahīñ ab bhī ghaḌī ko
maiñ ḳhvāboñ meñ samundar dekhtā huuñ
yaqīnan dil diyā hai jal-parī ko
ḳhudā ko dekhnā hogā tamāsha
banāyā hai jo us ne aadmī ko
tire jaane ke dukh se hans rahā huuñ
tamāsha kar diyā sīna-zanī ko
miTā kar tīrgī ko har jagah se
akelā kar diyā hai raushnī ko
mirī āñkhoñ meñ koī rah rahā hai
banā rakhā hai us ne ghar nadī ko
bata rakkha hai main ne zindagi ko
main phir se waqt dunga shaeri ko
na jaane kis ghaDi tum se mila tha
yaqin aata nahin ab bhi ghaDi ko
main KHwabon mein samundar dekhta hun
yaqinan dil diya hai jal-pari ko
KHuda ko dekhna hoga tamasha
banaya hai jo us ne aadmi ko
tere jaane ke dukh se hans raha hun
tamasha kar diya sina-zani ko
miTa kar tirgi ko har jagah se
akela kar diya hai raushni ko
meri aankhon mein koi rah raha hai
bana rakha hai us ne ghar nadi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.