bata tu hi ki teri yaad kaise dur ho dil se
batā tū hī ki terī yaad kaise duur ho dil se
bhare dariyā kī maujeñ bhī kahīñ haTtī haiñ sāhil se
gul-o-lāla to haiñ ai bāġhbāñ ḳhāmosh tasvīreñ
chaman bedār hotā hai faqat shor-e-anādil se
sañbhalne de zarā ai zauq-e-ġharqābī sañbhalne de
pukārā hai kisī ne Dūbne vaale ko sāhil se
irāda us musāfir kā koī samjhe to kyā samjhe
hazāroñ baar jā kar jo palaT aaya ho manzil se
udhar kī nargis-e-maḳhmūr ne tīr-afagnī 'zamzam'
idhar uTThī sadā-e-āfrīñ ushshāq ke dil se
bata tu hi ki teri yaad kaise dur ho dil se
bhare dariya ki maujen bhi kahin haTti hain sahil se
gul-o-lala to hain ai baghban KHamosh taswiren
chaman bedar hota hai faqat shor-e-anadil se
sanbhalne de zara ai zauq-e-gharqabi sanbhalne de
pukara hai kisi ne Dubne wale ko sahil se
irada us musafir ka koi samjhe to kya samjhe
hazaron bar ja kar jo palaT aaya ho manzil se
udhar ki nargis-e-maKHmur ne tir-afagni 'zamzam'
idhar uTThi sada-e-afrin ushshaq ke dil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.