batao kaise zamane ka KHun-baha doge
batāo kaise zamāne kā ḳhūñ-bahā doge
jo bujh ga.e haiñ charāġh un ko kyā jalā doge
tumhārā kyā hai har ik naam ko miTā doge
jo sach kahegā use daar par chaḌhā doge
nazar uThā ke na dekhoge aañkh ke aañsū
kahānī sun ke ġharīboñ kī muskurā doge
tumhārā tarz-e-takallum batā rahā hai mujhe
tabāh logoñ ko jiine kā aasrā doge
agar kahūñgī kisī roz ġham kā afsāna
hañsī hañsī meñ mirī baat ko uḌā doge
balā se jaan pe bantī hai is zamāne meñ
na.e nizām kī tasvīr to banā doge
Darā rahā hai mujhe vo jahāñ se 'shā.ista'
batāo hazrat-e-nāseh ko kyā sazā doge
batao kaise zamane ka KHun-baha doge
jo bujh gae hain charagh un ko kya jala doge
tumhaara kya hai har ek nam ko miTa doge
jo sach kahega use dar par chaDha doge
nazar uTha ke na dekhoge aankh ke aansu
kahani sun ke gharibon ki muskura doge
tumhaara tarz-e-takallum bata raha hai mujhe
tabah logon ko jine ka aasra doge
agar kahungi kisi roz gham ka afsana
hansi hansi mein meri baat ko uDa doge
bala se jaan pe banti hai is zamane mein
nae nizam ki taswir to bana doge
Dara raha hai mujhe wo jahan se 'shaista'
batao hazrat-e-naseh ko kya saza doge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.