batao kis tarah pahunche ho shab ko tum Thikane par
batao kis tarah pahunche ho shab ko tum Thikane par
Zebunnisaa Zaibii
MORE BYZebunnisaa Zaibii
batāo kis tarah pahuñche ho shab ko tum Thikāne par
mujhe to kuchh bharosā bhī nahīñ hai is zamāne par
batāo kaun thā kis ne jalā Daalā tumhārā ghar
parinda bhī nazar rakhtā hai apne āshiyāne par
na jaane kis tarah hoñge yahāñ hālāt behtar ab
yahāñ to saañp baiThe haiñ jidhar dekho ḳhazāne par
mujhe mālūm hai mujh ko diyā hai zahr tū ne hī
bharosā kyā karūñ ab yaar tere dostāne par
ye ham se dushmanī terī samajh meñ hī nahīñ aatī
faqat ham ahl-e-dil hī rahte haiñ tere nishāne par
koī aisā fasāna tū sunā ai ham-safar mujh ko
haqīqat kā gumāñ hone lage tere fasāne par
abhī bhī vaqt hai 'zebī' agar chāho to lauT aao
yahāñ bhī naam likkhā hai tumhārā daane daane par
batao kis tarah pahunche ho shab ko tum Thikane par
mujhe to kuchh bharosa bhi nahin hai is zamane par
batao kaun tha kis ne jala Dala tumhaara ghar
parinda bhi nazar rakhta hai apne aashiyane par
na jaane kis tarah honge yahan haalat behtar ab
yahan to sanp baiThe hain jidhar dekho KHazane par
mujhe malum hai mujh ko diya hai zahr tu ne hi
bharosa kya karun ab yar tere dostane par
ye hum se dushmani teri samajh mein hi nahin aati
faqat hum ahl-e-dil hi rahte hain tere nishane par
koi aisa fasana tu suna ai ham-safar mujh ko
haqiqat ka guman hone lage tere fasane par
abhi bhi waqt hai 'zebi' agar chaho to lauT aao
yahan bhi nam likkha hai tumhaara dane dane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.