batao maut kya hai zindagi kya
batāo maut kyā hai zindagī kyā
kisī ne bhed ye kholā kabhī kyā
ye āñkheñ surḳh sī kyuuñ ho rahī haiñ
kisī kī yaad kī bārish huī kyā
bujhe haiñ kyuuñ charāġh-e-dil sabhī ke
havā ne kī hai koī dil-lagī kyā
hañse kyuuñ phuul saare khilkhilā kar
kisī ne kī hai in ko gudgudī kyā
mohabbat to mohabbat hī hai sāhab
kahūñ us ko burī kyā aur bhalī kyā
ḳhizāñ meñ DhūñDte ho ḳhushbueñ tum
kabhī khiltī hai shab meñ bhī kalī kyā
namī hai aaj phir āñkhoñ meñ 'sīmā'
bahī hai aaj phir sūkhī nadī kyā
batao maut kya hai zindagi kya
kisi ne bhed ye khola kabhi kya
ye aankhen surKH si kyun ho rahi hain
kisi ki yaad ki barish hui kya
bujhe hain kyun charagh-e-dil sabhi ke
hawa ne ki hai koi dil-lagi kya
hanse kyun phul sare khilkhila kar
kisi ne ki hai in ko gudgudi kya
mohabbat to mohabbat hi hai sahab
kahun us ko buri kya aur bhali kya
KHizan mein DhunDte ho KHushbuen tum
kabhi khilti hai shab mein bhi kali kya
nami hai aaj phir aankhon mein 'sima'
bahi hai aaj phir sukhi nadi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.