batata hai mujhe aaina kaisi be-ruKHi se
batātā hai mujhe ā.īna kaisī be-ruḳhī se
ki maiñ mahrūm hotā jā rahā huuñ raushnī se
kise ilzām duuñ maiñ rā.egāñ hone kā apne
ki saare faisle maiñ ne kiye ḳhud hī ḳhushī se
har-ik lamhe mujhe rahtī hai taaza ik shikāyat
kabhī tujh se kabhī ḳhud se kabhī is zindagī se
mujhe kal tak bahut ḳhvāhish thī ḳhud se guftugū kī
maiñ chhuptā phir rahā huuñ aaj apne-āp hī se
vo be-kaifī kā aalam hai ki dil ye chāhtā hai
kahīñ rū-posh ho jā.ūñ achānak ḳhāmushī se
sukūn-e-ḳhāna-e-dil ke liye kuchh guftugū kar
ajab hañgāma barpā hai tirī lab-bastagī se
ta.alluq kī yahī sūrat rahegī kyā hamesha
maiñ ab uktā chukā huuñ terī is vāraftagī se
jo chāhe vo sitam mujh par ravā rakkhe ye duniyā
mujhe yuuñ bhī tavaqqo.a ab nahīñ kuchh bhī kisī se
tire hone na hone par kabhī phir soch lūñgā
abhī to maiñ pareshāñ huuñ ḳhud apnī hī kamī se
rahā vo multafit merī taraf aur in dinoñ meñ
ḳhud apnī samt dekhe jā rahā be-ḳhudī se
koī ḳhush-fikr sā tāza-suḳhan bhī darmiyāñ rakh
kahāñ tak dil ko bahlā.ūñ maiñ terī dilkashī se
karam terā ki ye mohlat mujhe kuchh din kī baḳhshī
magar maiñ tujh se ruḳhsat chāhtā huuñ aaj hī se
vo din bhī the tujhe maiñ vālihāna dekhtā thā
ye din bhī haiñ tujhe maiñ dekhtā huuñ bebasī se
abhī 'irfān' āñkhoñ ko bahut kuchh dekhnā hai
tumheñ be-rañg kyuuñ lagne lagā hai sab abhī se
batata hai mujhe aaina kaisi be-ruKHi se
ki main mahrum hota ja raha hun raushni se
kise ilzam dun main raegan hone ka apne
ki sare faisle main ne kiye KHud hi KHushi se
har-ik lamhe mujhe rahti hai taza ek shikayat
kabhi tujh se kabhi KHud se kabhi is zindagi se
mujhe kal tak bahut KHwahish thi KHud se guftugu ki
main chhupta phir raha hun aaj apne-ap hi se
wo be-kaifi ka aalam hai ki dil ye chahta hai
kahin ru-posh ho jaun achanak KHamushi se
sukun-e-KHana-e-dil ke liye kuchh guftugu kar
ajab hangama barpa hai teri lab-bastagi se
talluq ki yahi surat rahegi kya hamesha
main ab ukta chuka hun teri is waraftagi se
jo chahe wo sitam mujh par rawa rakkhe ye duniya
mujhe yun bhi tawaqqoa ab nahin kuchh bhi kisi se
tere hone na hone par kabhi phir soch lunga
abhi to main pareshan hun KHud apni hi kami se
raha wo multafit meri taraf aur in dinon mein
KHud apni samt dekhe ja raha be-KHudi se
koi KHush-fikr sa taza-suKHan bhi darmiyan rakh
kahan tak dil ko bahlaun main teri dilkashi se
karam tera ki ye mohlat mujhe kuchh din ki baKHshi
magar main tujh se ruKHsat chahta hun aaj hi se
wo din bhi the tujhe main walihana dekhta tha
ye din bhi hain tujhe main dekhta hun bebasi se
abhi 'irfan' aankhon ko bahut kuchh dekhna hai
tumhein be-rang kyun lagne laga hai sab abhi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.