bataun kaise tumhein kaisi yar guzri hai
batā.ūñ kaise tumheñ kaisī yaar guzrī hai
tumhārī baat mujhe nāgavār guzrī hai
tumhārā pyaar thā jab tak nasīb meñ mere
har ek raat bahut yādgār guzrī hai
mazāq apne buzurgoñ kā jo uḌāte the
hayāt un kī bahut sharmsār guzrī hai
kabhī sukūn kā lamha nasīb hī na huā
hayāt saarī bahut be-qarār guzrī hai
ye lag rahā hai mujhe dekh kar lab-o-ruḳhsār
inhīñ ko chhū ke yahāñ se bahār guzrī hai
tumhāre jism se mas ho ke aa.ī ho jaise
abhī yahāñ se jo ‘momal’ bayār guzrī hai
bataun kaise tumhein kaisi yar guzri hai
tumhaari baat mujhe nagawar guzri hai
tumhaara pyar tha jab tak nasib mein mere
har ek raat bahut yaadgar guzri hai
mazaq apne buzurgon ka jo uDate the
hayat un ki bahut sharmsar guzri hai
kabhi sukun ka lamha nasib hi na hua
hayat sari bahut be-qarar guzri hai
ye lag raha hai mujhe dekh kar lab-o-ruKHsar
inhin ko chhu ke yahan se bahaar guzri hai
tumhaare jism se mas ho ke aai ho jaise
abhi yahan se jo ‘momal’ bayar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.