bataun main taDapne ka maza kya
batā.ūñ maiñ taḌapne kā mazā kyā
nahīñ dekhā hai tum ne aa.ina kyā
zamīñ tāñbe kī hotī jā rahī hai
savā neze pe sūraj aa gayā kyā
hamāre ḳhuuñ kī laalī kyā batā.ūñ
muqābil is ke ho rang-e-hinā kyā
baḌhī kyoñ aag is tezī se ghar meñ
diyā ham-sāya ne is ko havā kyā
judā har shaḳhs kā rasta huā jab
to kahne sunñe kā kuchh fā.eda kyā
isī se ābrū-e-zindagī hai
ga.ī izzat to baaqī hī rahā kyā
bhare haiñ kaan dushman ne tumhāre
kahā kyā us ne aur tum ne sunā kyā
ġhazal sun lo zabāñ 'māhir' kī dekho
samajhne se hī pahle marhabā kyā
bataun main taDapne ka maza kya
nahin dekha hai tum ne aaina kya
zamin tanbe ki hoti ja rahi hai
sawa neze pe suraj aa gaya kya
hamare KHun ki lali kya bataun
muqabil is ke ho rang-e-hina kya
baDhi kyon aag is tezi se ghar mein
diya ham-saya ne is ko hawa kya
juda har shaKHs ka rasta hua jab
to kahne sunne ka kuchh faeda kya
isi se aabru-e-zindagi hai
gai izzat to baqi hi raha kya
bhare hain kan dushman ne tumhaare
kaha kya us ne aur tum ne suna kya
ghazal sun lo zaban 'mahir' ki dekho
samajhne se hi pahle marhaba kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.