batlaenge hum ki kya nahin the
batlā.eñge ham ki kyā nahīñ the
sab kuchh the faqat ḳhudā nahīñ the
āfāt ne dhar liyā hai jabki
ham dard se āshnā nahīñ the
āvāz the ham bhī bulbuloñ kī
aahū kī magar sadā nahīñ the
vo kar ke sitam the ham se nālāñ
ham sah ke sitam ḳhafā nahīñ the
ik daur thā apnī zindagī thī
jab ishq meñ mubtalā nahīñ the
ummīd thī jin se rahbarī kī
rahzan the vo rahnumā nahīñ the
batlaenge hum ki kya nahin the
sab kuchh the faqat KHuda nahin the
aafat ne dhar liya hai jabki
hum dard se aashna nahin the
aawaz the hum bhi bulbulon ki
aahu ki magar sada nahin the
wo kar ke sitam the hum se nalan
hum sah ke sitam KHafa nahin the
ek daur tha apni zindagi thi
jab ishq mein mubtala nahin the
ummid thi jin se rahbari ki
rahzan the wo rahnuma nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.