bayan apni safai kar raha hai
bayāñ apnī safā.ī kar rahā hai
vo lafzoñ se laḌā.ī kar rahā hai
karoḌoñ but agar haiñ bhī to but haiñ
ḳhudā tanhā ḳhudā.ī kar rahā hai
bujhegī apne ghar kī aag kaise
dhuāñ parda-kushā.ī kar rahā hai
ḳhabar māñ-bāp kī pardes meñ kyā
magar beTā kamā.ī kar rahā hai
vo jis ko ham nibhā.e jā rahe haiñ
musalsal bevafā.ī kar rahā hai
hasad mujh ko nahīñ to kis ko hogā
taraqqī merā bhaa.ī kar rahā hai
yahī 'mas.ūd' hai kyā shā.ir-e-ġham
ye jo naġhma-sarā.ī kar rahā hai
bayan apni safai kar raha hai
wo lafzon se laDai kar raha hai
karoDon but agar hain bhi to but hain
KHuda tanha KHudai kar raha hai
bujhegi apne ghar ki aag kaise
dhuan parda-kushai kar raha hai
KHabar man-bap ki pardes mein kya
magar beTa kamai kar raha hai
wo jis ko hum nibhae ja rahe hain
musalsal bewafai kar raha hai
hasad mujh ko nahin to kis ko hoga
taraqqi mera bhai kar raha hai
yahi 'masud' hai kya shair-e-gham
ye jo naghma-sarai kar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.