bayan-e-dard-e-mohabbat jo bar bar na ho
bayān-e-dard-e-mohabbat jo baar baar na ho
koī naqāb tire ruḳh kī parda-dār na ho
salām-e-shauq kī jur.at se dil laraztā hai
kahīñ mizāj girāmī pe ye bhī baar na ho
karam pe aa.eñ to har har adā meñ ishq hī ishq
na ho to un kā taġhāful bhī āshkār na ho
yahī ḳhayāl rahā pattharoñ kī bārish meñ
kahīñ unhīñ meñ koī sañg-e-kū-e-yār na ho
abhī hai aas ki āḳhir kabhī to aa.egā
vo ek lamha ki jab terā intizār na ho
bahut fareb samajhtā huuñ phir bhī ai 'ālī'
maiñ kyā karūñ agar un par bhī e'tibār na ho
bayan-e-dard-e-mohabbat jo bar bar na ho
koi naqab tere ruKH ki parda-dar na ho
salam-e-shauq ki jurat se dil larazta hai
kahin mizaj girami pe ye bhi bar na ho
karam pe aaen to har har ada mein ishq hi ishq
na ho to un ka taghaful bhi aashkar na ho
yahi KHayal raha pattharon ki barish mein
kahin unhin mein koi sang-e-ku-e-yar na ho
abhi hai aas ki aaKHir kabhi to aaega
wo ek lamha ki jab tera intizar na ho
bahut fareb samajhta hun phir bhi ai 'ali'
main kya karun agar un par bhi e'tibar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.