bayan-e-shauq na kuchh arz-e-iltija ke liye
bayān-e-shauq na kuchh arz-e-iltijā ke liye
bas ek jalva dikhā dījiye ḳhudā ke liye
bahut sunā.e haiñ afsāne pārsā.ī ke
bas ab zabān na khulvā.īye ḳhudā ke liye
yahāñ ḳhulūs-o-mohabbat kā tazkira kaisā
yahāñ to dard bhī miltā nahīñ davā ke liye
kahāñ tak aap kī zīnat pe jaañ nisār kareñ
kahāñ tak aap ko ham ḳhuun deñ hinā ke liye
har ek samt haiñ ibn-e-ziyād ke paikar
zamīn DhūñDte phirte haiñ karbalā ke liye
huzūr-e-husn 'zuhūr' āñsūoñ se kaam liyā
mile na jab kahīñ alfāz mudda.ā ke liye
bayan-e-shauq na kuchh arz-e-iltija ke liye
bas ek jalwa dikha dijiye KHuda ke liye
bahut sunae hain afsane parsai ke
bas ab zaban na khulwaiye KHuda ke liye
yahan KHulus-o-mohabbat ka tazkira kaisa
yahan to dard bhi milta nahin dawa ke liye
kahan tak aap ki zinat pe jaan nisar karen
kahan tak aap ko hum KHun den hina ke liye
har ek samt hain ibn-e-ziyaad ke paikar
zamin DhunDte phirte hain karbala ke liye
huzur-e-husn 'zuhur' aansuon se kaam liya
mile na jab kahin alfaz muddaa ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.