bayan-e-shauq pe mail wo kam-nazar honge
bayān-e-shauq pe maa.il vo kam-nazar hoñge
jo zabt-e-shauq kī lazzat se be-ḳhabar hoñge
lazīz ho to hikāyat darāz hotī hai
ham ahl-e-ġham ke fasāne to muḳhtasar hoñge
milegī ishq kī un meñ bhī kār-farmā.ī
vo hādse jo kisī aur naam par hoñge
khulā na thā ye kabhī raaz un kī qurbat meñ
ki duur ho ke vo mujh se qarīb-tar hoñge
tū āftāb-e-haqīqat kahīñ tulūa to ho
na ho sakeñ tire ham rū-ba-rū magar hoñge
jo gaa.e haiñ vahī naġhme bhī ḳhair mere haiñ
magar jo gā na sakā vo hasīn-tar hoñge
ab un kā zikr mirī guftugū meñ hai 'maḳhmūr'
ab e'tirāz mirī baat baat par hoñge
bayan-e-shauq pe mail wo kam-nazar honge
jo zabt-e-shauq ki lazzat se be-KHabar honge
laziz ho to hikayat daraaz hoti hai
hum ahl-e-gham ke fasane to muKHtasar honge
milegi ishq ki un mein bhi kar-farmai
wo hadse jo kisi aur nam par honge
khula na tha ye kabhi raaz un ki qurbat mein
ki dur ho ke wo mujh se qarib-tar honge
tu aaftab-e-haqiqat kahin tulua to ho
na ho saken tere hum ru-ba-ru magar honge
jo gae hain wahi naghme bhi KHair mere hain
magar jo ga na saka wo hasin-tar honge
ab un ka zikr meri guftugu mein hai 'maKHmur'
ab e'tiraaz meri baat baat par honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.