bayan ho nahin sakti kisi se shan-e-ghazal
bayān ho nahīñ saktī kisī se shān-e-ġhazal
adab meñ jalva-e-sad-rang hai jahān-e-ġhazal
zamīn-e-sher kā sadqa ki hai bharā puurā
hazār-rang sitāroñ se āsmān-e-ġhazal
haiñ us kī silk meñ ash.ār-e-tāb-dār anjum
hai kahkashāñ se sivā husn-e-kahkashān-e-ġhazal
us āb-rūd ke qurbāñ ki jis meñ dhul dhul kar
kañval khilātī hai taḳh.īl kī zabān-e-ġhazal
hudūd-band zabāneñ samajh se duur sahī
bahut hī sahl hai sab ke liye zabān-e-ġhazal
tirī zabān samajhtā na ho jahāñ koī
vahāñ to bol ke tū dekh bar zabān-e-ġhazal
ye shoḳh-o-shang hai kāfir magar muaddab hai
buland rahtā na varna kabhī nishān-e-ġhazal
chalā thā jab bhī thī dhaj us kī dekhne kī chiiz
hai ab bhī qābil-e-nazzāra kārvān-e-ġhazal
hazār josh uThe ḳhanjar-āzmā ho kar
magar vo chhū bhī nahīñ paa.e farq-e-shān-e-ġhazal
jo mārte rahe patthar vo nīm-vahshī the
jab aaya hosh to dekhā vahīñ makān-e-ġhazal
shaguft-e-gul pe bhalā kis kā zor chaltā hai
kisī se band na hogā kabhī dahān-e-ġhazal
bayan ho nahin sakti kisi se shan-e-ghazal
adab mein jalwa-e-sad-rang hai jahan-e-ghazal
zamin-e-sher ka sadqa ki hai bhara pura
hazar-rang sitaron se aasman-e-ghazal
hain us ki silk mein ashaar-e-tab-dar anjum
hai kahkashan se siwa husn-e-kahkashan-e-ghazal
us aab-rud ke qurban ki jis mein dhul dhul kar
kanwal khilati hai taKHil ki zaban-e-ghazal
hudud-band zabanen samajh se dur sahi
bahut hi sahl hai sab ke liye zaban-e-ghazal
teri zaban samajhta na ho jahan koi
wahan to bol ke tu dekh bar zaban-e-ghazal
ye shoKH-o-shang hai kafir magar muaddab hai
buland rahta na warna kabhi nishan-e-ghazal
chala tha jab bhi thi dhaj us ki dekhne ki chiz
hai ab bhi qabil-e-nazzara karwan-e-ghazal
hazar josh uThe KHanjar-azma ho kar
magar wo chhu bhi nahin pae farq-e-shan-e-ghazal
jo marte rahe patthar wo nim-wahshi the
jab aaya hosh to dekha wahin makan-e-ghazal
shaguft-e-gul pe bhala kis ka zor chalta hai
kisi se band na hoga kabhi dahan-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.