bayan kar dard chashm-e-tar hamara
bayāñ kar dard chashm-e-tar hamārā
kahīñ gum ho gayā hai ghar hamārā
salāmat is liye hai sar hamārā
qasīda paḌhte haiñ patthar hamārā
kahāñ ho chāñd-tāro tum kahāñ ho
tumhārā muntazir hai ghar hamārā
laḌakpan aaj bhī zinda hai ham meñ
machal uThtā hai dil aksar hamārā
abhī taarī hai chehroñ par udāsī
abhī badlā nahīñ manzar hamārā
maraz qaabū se bāhar ho gayā thā
na rotā kaise chārāgar hamārā
musāfir haiñ kahīñ bhī so raheñge
hamāre saath hai bistar hamārā
na jaane kyā ḳhatā ham se huī hai
sunā hai zikr hai ghar ghar hamārā
koī to daad de jī bhar ke ham ko
koī to sher ho behtar hamārā
miTā sakte nahīñ ham ko añdhere
bahut ujlā hai pas-manzar hamārā
karishma dekhiye ḳhush-qāmatī kā
na Takrāyā kisī se sar hamārā
sab ahl-e-ḳhāna haiñ kamre ke andar
janāza rakkhā hai bāhar hamārā
anā kā aa.ina dhuñdlā gayā jab
to nikhrā aur bhī 'jauhar' hamārā
bayan kar dard chashm-e-tar hamara
kahin gum ho gaya hai ghar hamara
salamat is liye hai sar hamara
qasida paDhte hain patthar hamara
kahan ho chand-taro tum kahan ho
tumhaara muntazir hai ghar hamara
laDakpan aaj bhi zinda hai hum mein
machal uThta hai dil aksar hamara
abhi tari hai chehron par udasi
abhi badla nahin manzar hamara
maraz qabu se bahar ho gaya tha
na rota kaise chaaragar hamara
musafir hain kahin bhi so rahenge
hamare sath hai bistar hamara
na jaane kya KHata hum se hui hai
suna hai zikr hai ghar ghar hamara
koi to dad de ji bhar ke hum ko
koi to sher ho behtar hamara
miTa sakte nahin hum ko andhere
bahut ujla hai pas-manzar hamara
karishma dekhiye KHush-qamati ka
na Takraya kisi se sar hamara
sab ahl-e-KHana hain kamre ke andar
janaza rakkha hai bahar hamara
ana ka aaina dhundla gaya jab
to nikhra aur bhi 'jauhar' hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.