Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm be-rabt hai soz-e-ahang se git ulfat ke gane se kya faeda

Imtiyaz Kavish

bazm be-rabt hai soz-e-ahang se git ulfat ke gane se kya faeda

Imtiyaz Kavish

MORE BYImtiyaz Kavish

    bazm be-rabt hai soz-e-āhang se giit ulfat ke gaane se kyā fā.eda

    baaġh sadiyoñ se be-nūr hai dilrubā terā yuuñ gul khilāne se kyā fā.eda

    ham bhī aa.e ga.e is jahāñ meñ magar koī ham ko na ham milā hai kabhī

    jis meñ koī bhī dil rakhne vaalā na ho us jahāñ meñ samāne se kyā fā.eda

    jo mohabbat samajhtā ho kartā bhī ho vo hai phirtā liye apne tishna se lab

    jo mohabbat na samjhe magar bech de us ko sharbat pilāne se kyā fā.eda

    tīrgī tīrgī hai idhar se udhar sham.a jalte ātish-fishāñ ghar huā

    dil na raushan ho jab ilm ke nuur se apne ghar ko jalāne se kyā fā.eda

    merī ulfat ko Thukrā ke chal basā merī chāhat samajh kar pashemāñ huā

    jo haqīqat thī us ko to samjhā nahīñ ab kahānī banāne se kyā fā.eda

    ye ḳhushī-o-masarrat aalam magar samajhtā hai merā muqaddar nahīñ

    tujh ko hāsil huā hai na hogā kabhī merā yuuñ dil dukhāne se kyā fā.eda

    nāseho apne ghar meñ bhī jhāñkā karo kitne haiñ jo taraste haiñ ulfat ko vaañ

    dil jo sadiyoñ se ab tak mile nahīñ haath yuuñ milāne se kyā fā.eda

    ham to samjhe the duniyā hai pīchhe vahāñ is liye aur aage baḌhte ga.e

    DhūñDne vaale jaane kahāñ kho ga.e naqsh-e-pā yuuñ banāne se kyā fā.eda

    vo tumhārā huā hai na hogā kabhī 'kāvish' aao zarā dekh lo tum magar

    us ke dil par asar jab na kar paa.e tum shā.erī ke ḳhazāne se kyā fā.eda

    bazm be-rabt hai soz-e-ahang se git ulfat ke gane se kya faeda

    bagh sadiyon se be-nur hai dilruba tera yun gul khilane se kya faeda

    hum bhi aae gae is jahan mein magar koi hum ko na hum sa mila hai kabhi

    jis mein koi bhi dil rakhne wala na ho us jahan mein samane se kya faeda

    jo mohabbat samajhta ho karta bhi ho wo hai phirta liye apne tishna se lab

    jo mohabbat na samjhe magar bech de us ko sharbat pilane se kya faeda

    tirgi tirgi hai idhar se udhar shama jalte hi aatish-fishan ghar hua

    dil na raushan ho jab ilm ke nur se apne ghar ko jalane se kya faeda

    meri ulfat ko Thukra ke tu chal basa meri chahat samajh kar pasheman hua

    jo haqiqat thi us ko to samjha nahin ab kahani banane se kya faeda

    ye KHushi-o-masarrat ka aalam magar tu samajhta hai mera muqaddar nahin

    tujh ko hasil hua hai na hoga kabhi mera yun dil dukhane se kya faeda

    naseho apne ghar mein bhi jhanka karo kitne hain jo taraste hain ulfat ko wan

    dil jo sadiyon se ab tak mile hi nahin hath yun hi milane se kya faeda

    hum to samjhe the duniya hai pichhe wahan is liye aur aage hi baDhte gae

    DhunDne wale jaane kahan kho gae naqsh-e-pa yun banane se kya faeda

    wo tumhaara hua hai na hoga kabhi 'kawish' aao zara dekh lo tum magar

    us ke dil par asar jab na kar pae tum shaeri ke KHazane se kya faeda

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now