Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-ahbab bhi mere liye tanhai hai

Naushad Munis Aazmi

bazm-e-ahbab bhi mere liye tanhai hai

Naushad Munis Aazmi

MORE BYNaushad Munis Aazmi

    bazm-e-ahbāb bhī mere liye tanhā.ī hai

    maiñ ne iḳhlās kyā ḳhuub sazā paa.ī hai

    jaane kyoñ pahlī mulāqāt meñ ehsās huā

    āj-kal nahīñ barsoñ shanāsā.ī hai

    shukr hai terā sabā ne ye ehsās kiyā

    ḳhushbū-e-zulf-e-sanam le ke idhar aa.ī hai

    duur ho jā.egī tārīkī shab-e-hijrāñ

    aa mire chāñd ki suunī mirī añgnā.ī hai

    dil khiñchā jaatā hai ab kūcha-e-qātil taraf

    dekhiye aaj qazā le ke kahāñ aa.ī hai

    ab karo band bhī āñkhoñ ke darīche 'monis'

    mahfileñ ḳhatm huiiñ ālam-e-tanhā.ī hai

    bazm-e-ahbab bhi mere liye tanhai hai

    main ne iKHlas ki kya KHub saza pai hai

    jaane kyon pahli mulaqat mein ehsas hua

    aaj-kal ki nahin barson ki shanasai hai

    shukr hai tera saba tu ne ye ehsas kiya

    KHushbu-e-zulf-e-sanam le ke idhar aai hai

    dur ho jaegi tariki shab-e-hijran ki

    aa mere chand ki suni meri angnai hai

    dil khincha jata hai ab kucha-e-qatil ki taraf

    dekhiye aaj qaza le ke kahan aai hai

    ab karo band bhi aankhon ke dariche 'monis'

    mahfilen KHatm huin aalam-e-tanhai hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now