bazm-e-hasti ko ba-sad-hasrat-e-tamir na dekh
bazm-e-hastī ko ba-sad-hasrat-e-tāmīr na dekh
sham.a se rabt baḌhā sham.a kī tanvīr na dekh
soz-e-fitrat kahīñ kāġhaz pe utar saktā hai
merā dil dekhne vaale mirī tasvīr na dekh
terī sharminda-nigāhī kī qasam hai tujh ko
kis ke siine meñ utartī hai ye shamshīr na dekh
toḌ saktā hai tilism-e-sahr-o-shām junūñ
tauq-e-gardan pe na jā paañv kī zanjīr na dekh
baare kaam aa to gayā ḳhūn-e-tamannā ai dost
mirā afsāna mirī shoḳhi-e-tahrīr na dekh
chhoḌ jaanā hai tujhe naqsh chaman meñ apnā
fikr-e-anjām na kar hāsil-e-tadbīr na dekh
tujh ko fitrat ke taqāzoñ kī ḳhabar kyā zāhid
dekh rahmat kī nigāheñ mirī taqsīr na dekh
dil kī har laġhzish-e-ma.asūm pe sau ḳhuld nisār
mastī-e-jurm samajh shorish-e-ta.azīr na dekh
dekh us ko ki jiye jaatā hai hañs hañs ke 'adīb'
mujh se pesh aatī hai kyūñkar mirī taqdīr na dekh
bazm-e-hasti ko ba-sad-hasrat-e-tamir na dekh
shama se rabt baDha shama ki tanwir na dekh
soz-e-fitrat kahin kaghaz pe utar sakta hai
mera dil dekhne wale meri taswir na dekh
teri sharminda-nigahi ki qasam hai tujh ko
kis ke sine mein utarti hai ye shamshir na dekh
toD sakta hai tilism-e-sahr-o-sham junun
tauq-e-gardan pe na ja panw ki zanjir na dekh
bare kaam aa to gaya KHun-e-tamanna ai dost
mera afsana meri shoKHi-e-tahrir na dekh
chhoD jaana hai tujhe naqsh chaman mein apna
fikr-e-anjam na kar hasil-e-tadbir na dekh
tujh ko fitrat ke taqazon ki KHabar kya zahid
dekh rahmat ki nigahen meri taqsir na dekh
dil ki har laghzish-e-masum pe sau KHuld nisar
masti-e-jurm samajh shorish-e-tazir na dekh
dekh us ko ki jiye jata hai hans hans ke 'adib'
mujh se pesh aati hai kyunkar meri taqdir na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.