bazm-e-imkan mein koi mujh sa nazar-baz nahin
bazm-e-imkan mein koi mujh sa nazar-baz nahin
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
bazm-e-imkāñ meñ koī mujh sā nazar-bāz nahīñ
ye jigar dekh ki is par bhī mujhe naaz nahīñ
zulm kyā kartī tirī chashm-e-fusūñ-sāz nahīñ
ik achhūtī sī hayā kā mujhe andāz nahīñ
nāzish-e-barbat-e-dil dard hai āvāz nahīñ
hāmil-e-soz nahīñ taar to vo saaz nahīñ
aaj hāsil hai sukūñ mujh ko junūñ ke sadqe
ab kisī samt se aatī koī āvāz nahīñ
dāvar-e-'ishq ne baḳhshī hai vo masrūf-nazar
fikr-e-anjām nahīñ fursat-e-āġhāz nahīñ
kā'ba-e-husn meñ yuuñ dil nahīñ lagtā apnā
sūrat-e-nāz nahīñ sīrat-e-andāz nahīñ
'ain mastī hai bhalā kaun de zāhid ko javāb
jām-e-gul-rang to sharminda-e-āvāz nahīñ
haa.e sayyād ne āzād kiyā to us dam
jab ki baazū meñ mire jur.at-e-parvāz nahīñ
ik tabassum ke tasavvur meñ fidā jaan na kar
itnī tā’jīl abhī o dil-e-jāñ-bāz nahīñ
aap kī raat kyoñ āñkhoñ meñ kaTī kuchh samjhe
us kī lāThī meñ kahāvat hai ki āvāz nahīñ
jis meñ dushman bhī kare aarzū mar jaane kī
lutf-e-dil-dār se behtar koī e'jāz nahīñ
'shād' ik husn-e-tarah-dār kī 'ismat kī qasam
'ishq manzūr-e-haqīqat hai koī raaz nahīñ
bazm-e-imkan mein koi mujh sa nazar-baz nahin
ye jigar dekh ki is par bhi mujhe naz nahin
zulm kya karti teri chashm-e-fusun-saz nahin
ek achhuti si haya ka mujhe andaz nahin
nazish-e-barbat-e-dil dard hai aawaz nahin
hamil-e-soz nahin tar to wo saz nahin
aaj hasil hai sukun mujh ko junun ke sadqe
ab kisi samt se aati koi aawaz nahin
dawar-e-'ishq ne baKHshi hai wo masruf-nazar
fikr-e-anjam nahin fursat-e-aghaz nahin
ka'ba-e-husn mein yun dil nahin lagta apna
surat-e-naz nahin sirat-e-andaz nahin
'ain masti hai bhala kaun de zahid ko jawab
jam-e-gul-rang to sharminda-e-awaz nahin
hae sayyaad ne aazad kiya to us dam
jab ki bazu mein mere jurat-e-parwaz nahin
ek tabassum ke tasawwur mein fida jaan na kar
itni ta’jil abhi o dil-e-jaan-baz nahin
aap ki raat kyon aankhon mein kaTi kuchh samjhe
us ki laThi mein kahawat hai ki aawaz nahin
jis mein dushman bhi kare aarzu mar jaane ki
lutf-e-dil-dar se behtar koi e'jaz nahin
'shad' ek husn-e-tarah-dar ki 'ismat ki qasam
'ishq manzur-e-haqiqat hai koi raaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.