bazm-e-rang-o-bu ka hun main raazdan tanha
bazm-e-rañg-o-bū kā huuñ maiñ rāzdāñ tanhā
hai mirī zamīñ tanhā aur āsmāñ tanhā
rahravān-e-manzil hī jab bichhaḌ chuke saare
kyā karegā manzil par mīr-e-kārvāñ tanhā
rahguzar meñ yaksūī anjuman meñ tanhā.ī
ham tire tasavvur meñ the kahāñ kahāñ tanhā
zindagī kī rāheñ ab pur-ḳhatar haiñ is darja
aap chal nahīñ sakte do-qadam yahāñ tanhā
zauq-e-bandagī ho to bandagī ko kaafī haiñ
ik mirī jabīñ tanhā terā āstāñ tanhā
un se hāl-e-dil kahnā ai 'nasīr' lāzim hai
ḳhāmushī nahīñ hotī ġham kī tarjumāñ tanhā
bazm-e-rang-o-bu ka hun main raazdan tanha
hai meri zamin tanha aur aasman tanha
rahrawan-e-manzil hi jab bichhaD chuke sare
kya karega manzil par mir-e-karwan tanha
rahguzar mein yaksui anjuman mein tanhai
hum tere tasawwur mein the kahan kahan tanha
zindagi ki rahen ab pur-KHatar hain is darja
aap chal nahin sakte do-qadam yahan tanha
zauq-e-bandagi ho to bandagi ko kafi hain
ek meri jabin tanha tera aastan tanha
un se haal-e-dil kahna ai 'nasir' lazim hai
KHamushi nahin hoti gham ki tarjuman tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.