bazm-e-ulfat mein agar shamil na the
bazm-e-ulfat meñ agar shāmil na the
ham tumhārī yaad se ġhāfil na the
mehrbāñ tū thā hamāre haal par
ham hī tere pyaar ke qābil na the
likh diyā tū ne vafā ko mere naam
kyā jahāñ meñ aur ahl-e-dil na the
ham ne hī uljhā diyā har baat ko
zindagī ke marhale mushkil na the
karb kī takrār thī har saañs meñ
varna ham ḳhud apne hī qātil na the
ham rahe tūfān-e-ġham se 'āshnā'
mauj kī āġhosh meñ sāhil na the
bazm-e-ulfat mein agar shamil na the
hum tumhaari yaad se ghafil na the
mehrban tu tha hamare haal par
hum hi tere pyar ke qabil na the
likh diya tu ne wafa ko mere nam
kya jahan mein aur ahl-e-dil na the
hum ne hi uljha diya har baat ko
zindagi ke marhale mushkil na the
karb ki takrar thi har sans mein
warna hum KHud apne hi qatil na the
hum rahe tufan-e-gham se 'ashna'
mauj ki aaghosh mein sahil na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.