bazm-e-yaran jo sajata hun so KHush rahta hun
bazm-e-yārāñ jo sajātā huuñ so ḳhush rahtā huuñ
ġham ko āvāz banātā huuñ so ḳhush rahtā huuñ
shab ye tārīk se tārīk huī jaatī hai
sham' yādoñ kī jalātā huuñ so ḳhush rahtā huuñ
jab kabhī mujh ko satātī hai mirī tanhā.ī
saath sāyoñ ko biThātā huuñ so ḳhush rahtā huuñ
mere ehsās mirī yaad mire ḳhvāboñ meñ
tujh ko apnā hī maiñ paatā huuñ so ḳhush rahtā huuñ
ḳhush yuuñ rahnā koī āsāñ to nahīñ hai lekin
har ḳhushī tujh pe luTātā huuñ so ḳhush rahtā huuñ
bazm-e-yaran jo sajata hun so KHush rahta hun
gham ko aawaz banata hun so KHush rahta hun
shab ye tarik se tarik hui jati hai
sham' yaadon ki jalata hun so KHush rahta hun
jab kabhi mujh ko satati hai meri tanhai
sath sayon ko biThata hun so KHush rahta hun
mere ehsas meri yaad mere KHwabon mein
tujh ko apna hi main pata hun so KHush rahta hun
KHush yun rahna koi aasan to nahin hai lekin
har KHushi tujh pe luTata hun so KHush rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.