bazm-e-yaran na rahi shahr-e-tamanna na raha
bazm-e-yārāñ na rahī shahr-e-tamannā na rahā
zindagī terā burā ho koī merā na rahā
aarzū kāsa-e-hasrat meñ Dhalī jaatī hai
dast-e-ummīd meñ baaqī koī sikka na rahā
tum se shikva nahīñ shikva hai zamāne se mujhe
na rahe tum to koī pūchhne vaalā na rahā
bām-o-dar bhī haiñ mayassar mujhe dastār bhī aaj
ye alag baat ki sar par koī saaya na rahā
is tarah apnā banāyā ġham-e-ulfat ne mujhe
ġham-e-duniyā ko bhī mujh se koī shikva na rahā
uTh gayā bazm-e-marāsim se dil-e-zār bhī ab
ek be-nām sā hotā thā jo rishta na rahā
be-navā kar gayā mujh ko bhī fareb-e-duniyā
lab-e-īqān pe jaarī koī kalma na rahā
kyā milā kār-e-masīhā.ī se āḳhir mujh ko
ġham bhī ġhairoñ ke hue dard bhī apnā na rahā
ḳhvāb-e-manzil the nishāñ jis kī masāfat meñ 'zahīr'
ham-safar mil ga.e āḳhir to vo rasta na rahā
bazm-e-yaran na rahi shahr-e-tamanna na raha
zindagi tera bura ho koi mera na raha
aarzu kasa-e-hasrat mein Dhali jati hai
dast-e-ummid mein baqi koi sikka na raha
tum se shikwa nahin shikwa hai zamane se mujhe
na rahe tum to koi puchhne wala na raha
baam-o-dar bhi hain mayassar mujhe dastar bhi aaj
ye alag baat ki sar par koi saya na raha
is tarah apna banaya gham-e-ulfat ne mujhe
gham-e-duniya ko bhi mujh se koi shikwa na raha
uTh gaya bazm-e-marasim se dil-e-zar bhi ab
ek be-nam sa hota tha jo rishta na raha
be-nawa kar gaya mujh ko bhi fareb-e-duniya
lab-e-iqan pe jari koi kalma na raha
kya mila kar-e-masihai se aaKHir mujh ko
gham bhi ghairon ke hue dard bhi apna na raha
KHwab-e-manzil the nishan jis ki masafat mein 'zahir'
ham-safar mil gae aaKHir to wo rasta na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.